Bekhayali

Bekhayali

Arijit Singh

Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
Ye sawaal aaye

Teri nazdeekyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein fassle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tujhese door hoon, kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita, tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon

Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
Ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai annban
Bante kyun ye khuda mere

Ye jo log-baag hain, jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun
Ye nakaan pyaar mein, kush hain haar mein
Inn jaisa kyun banun

Raatein dengi bata, neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu to khayalon mein saath hain

Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
Ye sawaal aaye

Nazar ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badon mein mere zeher ki tarah utar raha hai
Nazar ke aage har ik manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badon mein mere zeher ki tarah utar raha hai

Aa zamaane, aazma le, roothta nahin
Faaslon se hausla ye toot’ta nahin
Naa hai woh bewafa aur na main hoon bewafa
Woh meri aadton ki tarah chhoot’ta nahin

Bekhayali

Comentarios

Deja tu comentario:

Noticias de interés

Últimas noticias musicales

Reportar letra