Mohabbat, ibadat, shikayat
Main jis-se karoon woh tum ho
Tumhi ho jaan-e-jaan
Ghuzarish ya khwaahish
Farmaish main jis-se karoon woh tum ho
Tumhi ho sathiya
Chehra tera maange aakhein meri o jaana
Teri justju mein kat’ta har din mera
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Khayalon mein maine tujhko buna tha
Haqeekat mein mujhko tu mil gaya
Yehi soch ke main khud hairan hoon
Rab ko yeh kaise pata chal gaya
Likhi thi mukaddar mein
Chaahat teri oh jaana
Ke tu jahan mein mera ho hi gaya
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Teri aarzu mein kabse jee raha tha
Teri justju thi mujhe bepanah
Nigahon se meri tu door na jaana
Baahon mein meri ghar hai tera
Meri har tamanna hai poori huyi oh jaana
Mehka hua hai har lamha mera
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Jaana ve, jaana ve
Mohabbat karte rehna re
Ho mausam chaahe kaisa bhi
Hamesha mera rehna re
Jaana ve, jaana ve
Jaana ve
Comentarios
Deja tu comentario: