mera gaon jhumri telaiya hai
tera gaon shayad timbuktu
jinko milna hota milte hain
chaahe phir ho jaayein udan-chhu
kismat se takraaye hum dono
koi qissa hoga toh shuru
duniya yeh thodi thodi hai behtar lage
dil ke naukar-o-chakar lage
jhuk ke pooche kya hai aarzoo
duniya yeh thodi thodi hai behtar lage
dil ke naukar-o-chakar lage
jhuk ke pooche kya hai aarzoo
ahaa haa ahaa haa
mera ghar tapta registaan hai
tera ghar shayad north pole
lekin mil jaayenge ghumantu
teri meri duniya golamgol mmm
tere honthon pe main rakh jaaunga
apne kuch khatte meethe bol
duniya yeh thodi thodi hai behtar lage
dil ke naukar chakar lage
jhuk ke pooche kya hai aarzoo
duniya yeh thodi thodi hai behtar lage
dil ke naukar chakar lage
jhuk ke pooche kya hai aarzoo
aarzoo aarzoo aarzoo aarzoo
aa aaa
hoo hoo
guzra sarfira
chand se main gira
thaamkar jo sira, uss tarah kuch mera
duniya yeh thodi thodi hai behtar lage
milke khone ka darr lage
jaana bhi to phir se aana tu
Comentarios
Deja tu comentario: