Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana o zaalima, o zaalima
Jo tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usey behkana o zaalima, o zaalima
Aankhen marhaba, baatein marhaba
Main sau martaba deewana huaa
Mera na raha jab se dil mera
Tere husn ka nishana hua
Jiski har dhadkan tu ho
Aise dil ko kya dhadkana
O zaalima, o zalima
Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana o zaalima, o zaalima
Saanson mein teri nazdeeqiyon ka
Itrr tu ghol de, ghol de
Main hi kyun ishq zaahir karun
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Leke jaan hi jaayega meri
Qaatil har tera bahaana hua
Tujhse hi shuru
Tujhpe hi khatam
Mere pyaar ka fasaana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna
Main bhi hoon parwaana
O zaalima, o zaalima
Jo teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usey tadpana o zaalima, o zaalima
Deedaar tera milne ke baad hi
Chhoote meri angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi
Kyun iss tarah se duniya jahan mein
Karta hai meri ruswayi
Tera qusoor aur zaalima main kehlayi
Deedaar tera milne ke baad hi
Chhoote meri angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi
Comentarios
Deja tu comentario: