Aatishbaazi

Aatishbaazi

Jubin Nautiyal

mujhko na khabar thi iss tarah
teri yaadein yun tadpayengi
mujhko satayein jo yaadein woh
tere hisse bhi toh aayengi

bechainiyon mein kyun lamha saja hai
ke dil nahi sambhal raha

yeh seene ke andar
hai kaisa samandar
kyun mujhko doobayein woh yaadein teri
jo tu rubaroo hai
toh milta sukoon hai
yeh aatishbaazi hai teri meri

mujhse yeh dil mera keh raha
tujhse hai shikayatein badi
kyun tere jaane ke baad bhi
teri yaadein jaati hi nahi

tera asar hai
yeh tera nasha hai
ke chain mera kho raha

yeh seene ke andar
hai kaisa samandar
kyun mujhko doobayein woh yaadein teri
jo tu rubaroo hai
toh milta sukoon hai
yeh aatishbaazi hai teri meri

yeh dil ko pata hai
jo dil chahta hai
woh ehsaas ki tu zaroorat meri
tu hi arzoo hai
tu mera junoon hai
yeh aatishbaazi hai teri meri

Aatishbaazi

Comentarios

Deja tu comentario:

Noticias de interés

Últimas noticias musicales

Reportar letra