Phir Chala

Phir Chala

Jubin Nautiyal

jo humnawa thhe
ab wo khafa hai
kal humsafar thhe
ab hai juda

kyun aasuon se likhne lagi hai
ab zindgaani yeh daastan

pehle the hasse jitna
ab utna bura lagta hai
sab toh kho gaya mujhse
ab kiske liye rukna hai

phir chala, phir chala
unn raahon se dil chala
phir chala, phir chala
unn raahon se dil chala

paane ki chaahat mein kho gaya
khwaabon ke haathon se dil gir gaya
tooti jo neendein dikha hi nahi
jaane kaha wo mushafir gaya

nikle thhe sahi karne hum
phir bhi galat hi hua hai
anjaane mein jaane kaise
humse gunaah ho gaya hai

phir chala, phir chala
unn raahon se dil chala
phir chala, phir chala
unn raahon se dil chala

taqdeeron ki iss ladayi mein
baithe hai rishte yeh haare huye
bechaare dil ko toh puchho koyi
iski khushi isko kya chahiye

rehti thi jahaan raunak
ab ghar wo soona pada hai
wo jo khwaab dekha tha
sau tukdo mein toota pada hai

Phir Chala

Comentarios

Deja tu comentario:

Noticias de interés

Últimas noticias musicales

Reportar letra