Mere haath mein (fanaa)

Mere haath mein (fanaa)

Shahrukh Khan

mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho – 2
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan tere pyar mein ho jaaun fanaa
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan tere pyar mein ho jaaun fanaa
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

tere dil mein meri saanson ko panaa mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
jitne paas hain khushbu saans ke
jitne paas hothon ke sargam
jaise saath hain karvat yaad ke
jaise saath baahon ke sangam
jitne paas paas khwaabon ke nazar
utni paas tu rehna hamsafar
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

rone de aaj hamko do aankhen sujaane de
baahon mein lene de aur khud ko bheeg jaane de
hain jo seene mein qaid dariya woh choot jaayega
hain itna dard ke tera daaman bheeg jaayega
jitne paas paas dhadkan ke hain raaz
jitne paas bundon ke baadal
jaise ?sahaq? sa chanda ke hain raat
jitne paas nainon ke kaajal
jitne paas paas saagar ke lehar
utne paas tu rehna hamsafar
tu jo paas ho phir kya yeh jahaan
tere pyar mein ho jaaun fanaa
mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham

Mere haath mein (fanaa)

Comentarios

Deja tu comentario:

Noticias de interés

Últimas noticias musicales

Reportar letra